Sunday 14 October 2012

Pichhle kayi saalo se janamutsav nahi ja pa raha tha, samay aur kaam ki vyastata k chalte, par is baar maine nischay kiya ki is baar zaroor jaaoonga, janamutsav me, participate karunga aur saare RC fans, members and RC k kalakaaro se bhi milunga.. Mere decision lene me ek aur shaks ne meri kaafi help ki, wo bhi raj comics k bahut badey fan hai, but unka naam nahi lena chahunga, unko achchha nahi lagega. Haan to maine is baar delhi aane ki poori taiyaari kar lee thi.. 4 tareekh ki sham ko Raj Comics k yaha se phone bhi aa gaya ki aapka registration confirm ho gaya hai.. Delhi aayiye & pahuchne me koi problem ho to mere ko phone kijiyega.. Prahalad Ji bhi aur Mithilesh Daa bhi janamutsav me participate karne aa rahe the … Un logo se bhi baat ho gayi thi sab…

Janamutsav 6 Oct ko tha aur 1 oct se he mere dil me hulchul mach gayi thi… Mere Ravi Sirjee ne kafi meri help ki, unhone poora delhi k direction k bare me & kya karna hai kaise jaana hai sab bataya (cause main jaada Delhi k bare me nahi jaanta) & wo mujhe 6 taarik ki subah mujhe receive bhi karne aa rahe the but so sad unki tabiyat achanak se bahut kharab ho gayi, phir bhi Sirjee ne kaha ki main aane ki poori koshish karunga… Nahi subah aa paaya to janamutsav me aane ki pooro koshish karunga… I said ok & wished him for his good health.. Then finally 5 october aaya and usi sham ki Gorakhdhaam ki train se Delhi k liye rawana hua… Ek aur Raj Comics k bahut badey junooni fan hai Eesh Sir, unka 4 taarik ki raat ko mere facebook account pe msg aaya ki wo bhi same train se Delhi k liye rawana honge Gonda sheher se… Hamari aur Eesh Sir ki raat ko phone pe baat hui, then hamne apni information share ki aur maje ki baat to ye thi ki unka coach number S1 tha & mera S9 tha.. Train me jaada he bheed thi… 5 ki raat ko Eesh Sir ka call aa gaya ki train me chadh gaya hoon S1 me…. But mere saath saaman tha aur mujhe chhor k jaana theek na laga.. Aap log to jaante ho train me kitna chori hota hai.. Waise Eesh Sir ne kaha ki Lucknow me aap mere berth pe aa jaana but main nahi jaa paaya, us waqt bahut tez neend lagi thi…. Then subah hua jaise taise.. Subah Delhi station aane wala tha & main teeth brush kar raha tha, Eesh Sir ki S9 bogy me entry hui, lambi personality (lambayi me thode se 2 ya 3 inch kam honge mere se ).. hum logo ne ek doosre ko smile dee then kuchh formal baate huyi…


Kuchh der me Delhi station aa gaya … Prahalad Ji ka bhi train (Duronto) aana tha to hum dono ne unke train k aane ka wait kiya, kuchh der baad Prahalad Ji ka Duronto naamak train se aagman hua.. Wo train se haath wave kiye and thumbs up dikhaya hum dono ko…. Phir wo bhi hum log se mile, kuchh baaten hui then pata chala ki Mithilesh Daa ka bhi train aa raha hai, to hum teeno metro station k baahar unka wait karne lagey.. Then finally aadhe ghante baad wo aaye and then hum sab metro ki taraf agrasar huye.. Eesh Sir ko apne relative k yaha jana tha to wo udhar se keh k nikal gaye ab seedhe janamutsav me mulaqat hogi.. Then main Prahalad Ji Mithilsh Daa phone wone kiye Raj Comics me, fans ko exact kaha thehraya hai pata kiya then hum teeno waha pahuch gaye Agrasen bhawan.. Agrasen bhawan pahuchte pahuchte 9.30 baj gaye… Waha pe kuchh log (RC fan, artist wagaira) pehle se maujood the, but Pitampura haat pahuchne ki jaldbaaji thi to mil nahi paaya.. But Prahalad ji sabse miley.. Phir waha nahaye fresh hue hum sab aur Pitampura Haat k liye kooch kiye…


Pitampura Haat pahuch k jo Nagraj Janamutsav ka gate dekha, that was awesome, fantastic, amazing… Hum log to khoob photo khiche main gate pe he, then andar gaye, awesome - awesome posters lage hue the.. Sab posters pe main Prahalad Ji, Mithilesh Daa ek se angle & pose karke photo khichwaaye.. Then main event jaha hona tha waha pahuche, tab tak to peechhe se mere Sirjee bhi aa gaye, wow that time I was just like …. Sorry can’t be defined.. Bheetar zabardast nazara tha, har taraf comics he comics, fans ki bheed, sab ek doosre k saath mil rahe the masti kar rahe the, photo shoot kar rahe the, specially Nagraj, Dhruva & Doga k dolls k saath… Hum logo ne bhi khoob photo session karwaya.. Then Eesh sir bhi aaye but wo bheed me kahi kho gaye.. Maine bahut comics kharidi, specially Nagraj & Dhruva ki sab purani purani visheshank jo mere paas nahi thi sab khareed lee… Ab Nagraj k "Nagraj" se lekar "Maqbara" tak aur Dhruva k "Pratishodh Ki Jwala" se lekar "Special" tak, sab k sab hai.. Ishwar ki kripa aur mera janoon hai...


Hum log apna free gifts liye jo RC ne registration karane pe provide karaya tha.. Bahut achchha gifts lagey… Specially Nagraj T-Shirt.. Prahalad Ji apna idhar udhar kar rahe the photo kheech rahe the.. Hum log ghoom he rahe the ki
Shiva Ji Aryan Jee ka aagman hua, wo apne mitra k saath aaye the.. Shiva Ji Aryan Jee, handsome hunk RC fan.. Superhero se kam nahi lag rahe the… Unke mitra Sandeep ji, gazab ki personality hai unki bhi, ab to wo bhi hamaare achchhe mitr hai.. Dono he zameen se jude insaan hai, hum sab ek pal me itna ghul mil gaye ki pata he na chala… Then hamari mulaqat Pawan Jee se huyi.. Smart personality aur ek nek dil insaan and zabardast RC fan.. Unka registration hua tha Janamutsav me but unka naam list me nahi tha, to unko free goodies nahi mila jiski wajah se wo kaafi embarrassed feel kar rahe the but thanks to Sirjee jo unko free goodies dilwa diye.. Hum logo ne khoob masti kiya pepsi wepsi bhi piya.. RC waalo ne free coupons provide karaya tha khaane peene k liye.. Sid Heart se bhi mulaqat huyi, we apne group me mast the..

Ab Janamutsav start hua… Bade bade hastiya pahuchi thi RC k.. Meri nazar to sirf Sanjay sir aur Anupam Sir pe he thi ki wo kab free ho aur main unse milu aur charansparsh karu.. Bahut logo ne waha dhoom machaya but Shiva Ji Aryan Jee ne kya dhoom machayi, it was awesome, aap sab to waakif he hai aur agar nahi hai to ye video dekhiye pata lag jaayega..


http://www.youtube.com/watch?v=M5tpcKgGBsk

Bahut saare programs hue, beech beech me short breaks bhi ho rahe the, isi dauraan Sanjay Sir se milne ka mauka mila, sab mil rahe the baari baari karke main bhi line me laga hua tha, dhadkane badhi huyi thi meri, Sanjay sir se 11 ya 12 kadam ki doori par tha ki Sanjay Sir ne mujhe pukaara Abhinav… That time was superb amazing tha mere liye, mera sapna poora ho gaya, turant Sanjay sir ka charansparsh kiya, unhone mere kandhe pe haath rakkha haal chaal poochha etc. Bahut he noble person hai Sanjay Sir.. Phir Anupam Ji se mila, Manoj ji, Manish Ji Tarun Ji, Vivek Ji, Dheeraj Ji etc etc… Anupam Ji ka novel “ The Virtual” launch hua, maine wahi pe unki novel kharidi aur Anupam sir ka signature aur autograph bhi liya novel pe.. Mera sapna poora ho gaya in mahaan logo se mil ke.. Phir kayi programs aur prize distribution hue, it was just awesome & fantastic… Film director Anurag Kashyap Ji bhi aaye, unhone bahut kuchh share kiya apne baare me, and unki doga movie bhi taiyyari me hai.. Prahalad ji ne to gana bhi compose kar chuke hai Doga Movie k liye, waha pe Prhalad jee ne sunaya bhi, jo Anurag Ji ko achchha laga, ab dekhte hai ye gana select hota hai ya nahi…


Milte julte masti karte karte raat 11.30 baj gaye, then hum logo ne waha se prasthaan kiya aur waapas Agrasen bhawan aa gaye.. Waha Abhishek Jee adil Husain ji Manoj Ji aur bhi kaafi logo aur RC artisto se mulaqat hui.. Bahut saari baatein hui raat k 2 baje tak, then hum sab so gaye… I missed Deven Pandey Jee lot there…


Finally My Dream Came True..


Special Thanks And Gratitude To
- Ravi Yadav,Mithilesh Gupta, Prahalad Dubey,Shiva Ji Aryan, Pawan Khorawal,M Fiery Leo, Sandeep Verma, Eesh Khan, Abhishek Singh & Adil Husain...
— with Ravi Yadav, Youdhveer Singh, Suyash Jaiswal, Ravendra Singh, Rahul R. Sharma, Pranav Shashank, M Fiery Leo, Eesh Khan, Prahalad Dubey, Deven Pandey, Mithilesh Gupta, Shiva Ji Aryan, Mrinal HeadShot Anand, Anuj Kumar Chaprana, Aman Kumar, Adil Husain, Abhishek Singh and Aakaar Avatar Jain.

No comments:

Post a Comment