Monday 30 September 2013

Gunakar (Parmanu)

Professor Richmond ek aise pranghatak prayog mey laga tha jisme jaane to jaani thi par experiment ki safalta Green Pharmacueticals Group ka naam vishva ki agrini pharmaceuticals companies mey laa sakti thi. Jiska Professor Richmond maalik banna chahta tha. Usne apne 2 assistants ko nuclear test kay liye ek kamre mey bheja. Uske dwara kamra bandh kiye jaane kay 15 seconds baad usme nuclear blast hona tha. Par kuch takniki kharabi aa jaane kay kaaran darwaza bandh nahi hua. Wo jaise hi kharabi dekhne andar gaya darwaza bandh ho gaya aur wo apne hi prayog mey apni jaan jaane ka khatra saaf dekhne laga. Blast hua aur sab chhithado mey badal gaya. Par Professor bach gaya aur iss haadse se usme bahugunit honay ki shakti aa gayi thi. Apni iss shakti kay bal par usne apradh ki duniya mey kadam rakha aur uska raasta rooka Parmanu nay. 
'Ab Marega Parmanu', mey bhi Gunakar ka yaadgar kirdaar tha. 'Ek se do, Do se sau', general issue tha isliye Gunakar kay zyada kaarname padhne ko nahi mil paaye. Aasha hai ki Parmanu ki waapsi kay baad Gunakar bhi ek baar phir pathako ka manoranjan karega. 


Gunakar kay baare mey vistaar se jaan ne kay liye zaroor padhiye. 
Gunakar, Ab Marega Parmanu, Ek se do, Do se sau.

No comments:

Post a Comment