Monday 30 September 2013

Great Clashes (Raj Comics)


Aug 25
2010

Great Clashes

Posted by: TRENDSTER 
Tagged in: Raj Comics , Mohit Sharma/Trendster , Idea , Comics
TRENDSTER
Kisi action Superhero ka asal test uske fight sequences mey hota hai. Saath hi uski powers aur dimaag ko naye naye tareko se challenges milte rehte hai. RC nay ab tak apne lagbhag sabhi kirdaaro ko lekar kai shaandaar fight sequences banaye hai.

Jab kisi kirdaar ko apni saari shakityon aur uplabdh sansadhano kay alawa bhi kai aise tareke soochne padte hai jinse wo apne pratidwandi aur vikat paristhitiyon se paar paa sake, aise fight sequences general readers ko bahut pasand aate hai.

Action based solo comics mey Superhero kay kisi shaktishaali villain se takraane kay alawa Multi starer aur 2 in 1 comics mey bhi unexpected aur alag tarah kay takraav dekhne ko milte hai. 2 in 1 comics mey agar dono Superheroes ek doosre kay virrudh hon to unke takraav ko zyadatar achcha 'footage' milta hai. Junglistaan, Aadhe insaan, Takkar, Mard aur Murda, Thandi aag, Pralay, iss category kay kuch behtereen udahran hai.

Iss Topic aap mey aise hi yaadgaar fight sequences, unse juddi baaton kay baare mey discuss kar sakte hai aur kaun se anokhe takraav aapko behadd pasand aaye wo bhi likhiye. Agar aap kinhi 2 ya zyada dumdaar kirdaaro ka takraav khud likhna chahein to bhi aapka swagat hai.
Anupam ji fight sequences kay specialist hai. Unhone khaaskar Dhruv ki zyadatar comics mey bahut hi romanchak fight sequences diye hai. Apni Multi starer comics mey bhi unhone kai unusual combinations ka shaandaar takraav dikhaya hai jinke baare mey hum sirf sochte thay ki agar ye do kirdaar ek doosre se takraaye to kya hoga ?

'Kohraam' mey kahani ko jagah jagah par compliment karti fights wo bhi itne saare alag alag combinations kay saath. Wo sach mey ek behtareen comic thi......par tab 128 pages bhi thay. Ab to Kohraam jaise kisi project par 40 se 43 pages ki 3 comics ki series aayegi jisme continuity naa honay ki wajah se uski 1 comic utna mazaa nahi de paayegi.
- Mohit Sharma (Trendster / Trendy Baba)

No comments:

Post a Comment